Koi Deewana Kahta Hai
84 pages
English

Vous pourrez modifier la taille du texte de cet ouvrage

Découvre YouScribe en t'inscrivant gratuitement

Je m'inscris

Koi Deewana Kahta Hai , livre ebook

-

Découvre YouScribe en t'inscrivant gratuitement

Je m'inscris
Obtenez un accès à la bibliothèque pour le consulter en ligne
En savoir plus
84 pages
English

Vous pourrez modifier la taille du texte de cet ouvrage

Obtenez un accès à la bibliothèque pour le consulter en ligne
En savoir plus

Description

Dr. Kumar Vishwas is a brilliant poet of his own class, related to this age.His songs depicts cultural philosophy, emotions, harmony. His effortless way of narrating songs is remarkable. Hi wonderfully crafts his poetry which is a pleasantry surprise.This presence in the stage increases its glamor. Hawing melodious voice, unique style, poet and ghazalkar of high class make his apart from others. Along with poetry, his style of reciting his poems spell bound the audience.If any poet, after Gopal Das Neeraj, Who has proved himself an the stage is none other than Dr. Kumar Vishwas.

Sujets

Informations

Publié par
Date de parution 19 juin 2020
Nombre de lectures 0
EAN13 9789352963232
Langue English

Informations légales : prix de location à la page 0,0118€. Cette information est donnée uniquement à titre indicatif conformément à la législation en vigueur.

Extrait

Koi Diwana Kahta Hai
(Kavya Sangrah)
 

 
eISBN: 978-93-5296-323-2
Copyright © Dr. Kumar Vishvas
Publisher: Diamond Pocket Books (P) Ltd.
X-30, Okhla Industrial Area, Phase-II New Delhi-110020
Phone: 011-40712100, 41611861
E-mail: ebooks@dpb.in
Website: www.diamondbook.in
Edition: 2018
Koi Diwana Kahta Hai
By - Dr. Kumar Vishvas
Un Sapnaon Ko Jo Apnaon Ne Tord Diye…

 
Pura Jeevan
beet gaya hai
bas tumko gaa,
bhar lene mein…
Har pal
kuchh-kuchh reet gaya hai,
pal jeene mein,
pal marne mein,
Ismein
Kitna auron ka hai,
Ab is gutthee ko
kya kholen,
Geet, Bhoomika
Sab tum ho
Ab isse aage
kya bolen……
Sabka kuchh-na-kuchh udhaar hai, so sabka abhar hain...
Yon Gayaa Hai Hamne Humko
Bansuri Chali Aao
Man Tumhara Ho Gaya
Main Tumhein dhoondhne
Pyar Nahin De Paunga
Numaish
Tum Gaye Kya
Beshak Jamana Pas Tha
Safai Mat Dena
Badadiyo Gagariya Bhar De
Dheere-Dheere Chal Ri Pawan
Kya Samarpit Karun
Mere Man Ke Gaon Mein
Mang Ki Sindur Rekha
Chand Ne Kaha Hai
Madhuyamini
Ye Wahi Purani Rahen Hain
Ladkiyan
Holi
O Mere Pahale Pyar!
Kuchh Pal Bad Bichhud Jaoge
Tum gaye
Tum Bin
Kitne Din Bit Gaye
Panchhi Ne Khol Diye Par
Fir Basant Aana Hai
Itni Rang-Birangi Duniyan
Suraj Per Pratibandh Anekon
Pita Ki Yaad
Pir Ka Sandesha aaya
Main tumhein Adhikar Dunga
Mujhko Jina Hoga
Tan-Man Mahaka
Pyar Mang Lena
Aana Tum
Aaj Tum Mil Gaye
Dehri Per Dhara Deep
Tumne Jane Kya Pila Diya
Ye Geet Tujhe Kaise De dun
Tum Bina Main
Har Gaya Tan-Man
Rai Se Din Bit Rahe Hain
Tum Swayam Ko Sajati Raho
Kaise Ritu Bitegi
Rat Bhar To Jalo
Smaran Geet
Jadon Kee Gunguni Dhup Tum
Bin Gaaye Bhi Tumko Gaaya
Ek Pagli Ladaki Ke Bin
Kissa Ruparani
Main Usko Bhul Hi Jaunga
Madyantika (Mehandi)
Hai Naman Unko...
Ye Radifon Kafiya
Main To Jhonka Hun
Har Sada Paigam
Unki Khairo-Khabar
Rang duniyan ne
Sab Tamannaen Hon Puri
Dil To Karata Hai
Pal Ki Baat Thi
Chand Kaliyan Nishat ki
Koe Diwana Kehata Hai
Tumne itna sab lootaa hai, Her gayan men choota hai...
Bansuri Chali Aao
Tum agar nahin aayin, geet ga na paunga
Sans saath chhodegi, sur saja na paunga
Taan bhawana ki hai, shabd-shabd darpan hai
Bansuri chali aao, honth ka nimantran hai
Tum bin hatheli ki har lakir pyasi hai
Teer par Kanha se door Radhika-si hai
Sham ki udasi men yad sang khela hai
Kuchh galat na kar baithe, man bahut akela hai
Aushadhi chali aao, chot ka nimantran hai
Tum alag hue mujh se sans ki khataon se
Bhookh ki dalilon se, waqt ki sajaon se
Dooriyon ko malum hai dard kaishe sahana hai
Aankh lakh chahe per honth se na kahna hai
Kanchani kasouti ko, khot ka nimantran hai
Bansuri chali aao, honth ka nimantran hai

 
Man Tumhara Ho Gaya
Man tumhara
Ho gaya to ho gaya
Ek tum the jo sada se archana ke geet the,
Ek hum the jo sada se dhar ke viprit the.
Gramya-swar kaise kathin alap, niymit sath pata
Dwaar per sankalp ke lakhkar parajay kampkampata
Kshin-sa swar
Kho gaya to kho gaya.
Man tumhara
Ho gaya to ho gaya
Lakh nache mor-sa man, lakh tan ka seep tarse,
Kaun jane kis ghadi, tapti dhara per megh barse.
Ansune chahe rahe tan ke sajag shahri bulawe,
Pran me utre magar jab srishti ke adim chalawe.
Beej badal
Bo gaya to bo gaya
Man tumhara
Ho gaya to ho gaya.

 
Main Tumhein dhoondhne
Main tumhein dhoodhne, swarg ke dwar tak
Roj jata raha, roj ata raha
Tum gazal ban gayin, geet me dhal gayin
Manch se main tumhein gungunata raha…
Jindagi ke sabhi raste ek the
Sabdki manzil tumhare chayan tak rahin
Aprakashit rahe pir ke upnishad
Man ki gopan-kathayein nayana tak rahin
Pran ke prishth per priti ki alpana
Tum mitati rahin, Main banata raha
Tum gazal ban gayin, geet me dhal gayin
Manch se main tumhein gungunata raha…
Ek khamosh halchal bane jindgi
Gahara-thahara hua jal bane jindgi
Tum bina jaise mahalon me bita hua
Urmila ka koi pal bane jindagi
Drishti-akash men aas ka ek diya
Tum bujhati rahi, main jalata raha
Tum gazal ban gayin, geet me dhal gayin
Manch se main tumhein gungunata raha…
Tum chali to gayin man akela hua
Sari yadon ka purzor mela hua
Jab bhi lauti nayi khushbuon men saji
Man bhi bela hua, tan bhi bela hua
Khud ke aghat per, vyartha ki baat per
Roothti tum rahi, main manata raha
Tum gazal ban gayin, geet me dhal gayin
Manch se main tumhein gungunata raha...
Main tumhein dhundhne, swarg ke dwar tak
Roj jata rahaa, roj aata raha…

 
Pyar Nahin De Paunga
O kalpvriksh ki sonjuhi
O amaltas ki amal kali
Dharti ke aatap se jalte
Man per chhayi nirmal badli
Main tumko madhusadgandh yukt, sansar nahin de paunga
Tum mujhko karna maf, tumhein main pyar nahi de paunga
Tum kalpvriksh ka fool aur
Main dharti ka adna gayak
Tum jivan ke upbhog yogya
Main nahin swayam apne layak
Tum nahin adhuri gazal shubhe!
Tum sam-gan si pawan ho
Himshikhron per sahasa kaundhi
Bijuri-se tum manbhavan ho
Isliye vyarth shabdon wala, vyapaar nahin de paunga
Tum mujhko karna maf, tumhein main pyar nahin de paunga
Jis shayya per shayan karo
Vaha kshir-sindhu si pawan ho
Jis angan me ho maulshri
Vah angan kya Vrindavan ho
Jin adharon ka chumban pao
Ve adhar nahin nahin ganga tat ho
Jiski chhaya ban sath raho
Wah vyakti nahin vanshi-vat ho
Par mai vat jaisa saghan chhanh-vistar nahin de paunga
Tum mujhko karnaa maf, tumhein pyar nahin de paunga
Main tumko chand-sitaron ka
Sounpun uphar bhala kaise
Main yayavar banjara sadhu
Sur-sansar bhala kaise
Main jivan ke prashnon se nata
Tod, tumhare sath priye!
Barud bichhi dharti per kar lun
Do pal pyar bhala kaise
Isliye vivash har anshu ko, satkar nahin de paunga
Tum mujhko karna maf, tumhein main pyar nahin de paunga
O kalpvriksh ki sonjuhi
O amaltas ki amal kali

 
Numaish
Kal numaish mein fir geet mere bike
Aur main kimaten le ke ghar aa gaya
Kal salibon pe fir prit mere chadhi
Meri ankhon pe swarnim dhuan chha gaya
Kal tumhari su-sudhi mein bhari gandh fir
Kal tumhare liye kuchh rache chhand fir
Meri roti-sisakti si awaz mein
Log pate rahe maun anand fir
Kal tumhare liye ankh fir nam hue
Kal anjane hi mahfil mein, main chha gaya
Kal saja raat ansu ka bajar fir
Kal gazal-geet banker dhala pyar fir
Kal sitaron-si unchai paakar bhi main
Dhundhta hi raha ek adhar fir
Kal main duniyan ko paakar bhi rita raha
Aaj kho kar swayam ko tumhein paa gaya

 
Tum Gaye Kya
Tum gaye kya, shahar suna kar gaye
Dard ka aakar, duna kar gaye
Janta hun fir sunaoge mujhe maulik kathayen
Shahar bhar ki suchnayen, umra bhar ki vyastatayen
Per jinhen apna banakar, bhool jate ho sada tum
Wo tumhare bin, tumhare vedana kisko sunayein
Fir mera Jivan, udasi ka namuna kar gaye
Tum gaye kya, shahar suna kar gaye
Main tumhari yad ke mithe tarane bun raha tha
Wakta khud jinko magan ho, sans thame sun raha tha
Tum agar kuchh der rukte to tumhein malum hota
Kis tarah bikhare palon se main bahane chun raha tha
Rat bhar ‘han-han’ kiya per, prat me na kar gaye
Tum gaye kya, shahar suna kar gaye

 
Beshak Jamana Pas Tha
Jivan me jab tum the nahin
Pal bhar nahin ullas tha.
Khud se bahut main dur tha,
Beshak jamana pas tha.
Honthon pe maruthal aur dil men

  • Univers Univers
  • Ebooks Ebooks
  • Livres audio Livres audio
  • Presse Presse
  • Podcasts Podcasts
  • BD BD
  • Documents Documents